Sunday, October 2, 2011

HARD-TRUTHS



Tum Kisi Ko Chaho Or Woh Tumain Thukra Day To Yah Us Ke Bad Nasibi Hai. Or Us K Bad tum us ko Zabardasti Apnana Chaho To Yah Tumheray Nafs Ki Zillat hy.

Har Eik Baat Mein Haan Mein Haan Milaana Munaafiqon Ki Aadat!Aur Har Baat Mein Ikhtilaaf Karna Dushmani Ki Nishaani Hai

Tum Gulab Ka Phool Ban Jao q kay Yah Phool Us Kay Hathoon main bhi KUSHBU chor jata hai jo issay masal k phenk deta hy.

Din ko rizk ki talash karo or raat ko usay talash karo jo tumhai rizk deta hy

Yeh zindagi 2 din ki hai 1 din tumharay haq mai aur 1 din tumharay mukhaalif Jis din tumharay haq mai ho us din ghuroor mat kerna aur jis din tumharay mukhaalif ho us din sabr karna.

Tum acha karo aur zamana bura samjhay , yeh tumharay haq mai behter hai bajaye is k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay.

Lambi umeedoon se perhaiz kia karo, kyon k yeh dosri naimtoon ko Tumhari nazar mai haqeer bana deti hain aur tum unki shukar guzari nahi kertay.

Jub tum dunya ki muflisi se tung aajao aur rizq ka koi rasta na niklay Tu sadqa de ker ALLAH se tijarat karo.

Apnay dushman ko hazar mouqa do k woh tumara dost ban jaye. LEKIN apna dost ko 1 bhi moqa na do k woh tumara dushman ban jaiy.

Barish ka Qatra Seepi or Sanp dono kay Munah mein girta hai Jab keh Sanp ussay Zehar bana deta hai aur Seep Usay Moti. Jis ka jaisa "Zarf" waisi Uss ki "Takhleeq"

Duniya Tumhain Us Waqt Tak Nahi Hara Sakti Jab Tak Tum Khud Se Na Haar Jao.

Jo Dukh day Us se Taluq na rakho aur jis se Taluq na rakho usay dukh na do.

Insan Gunah Kerne Ki Waja Se Jahanum Mein Nhi Jata Bal Keh Gunah Per Mutmaen Rehny Aur Tauba Na Krney Ki Waja Se Jahanum Mein Jata Hy.

Jo tumhain khushi mein yad aaiy, samjho tum us se muhabbat kartey ho or jo tumhain gham mein yad aaiy to samjho woh tum se muhabbat kerta hay

Acha Dost Kitni Dafa he kyon na rothay usay mana lena chahyay kyon k Tasbeeh k danay kitni dafa he kyon na bikhrein ikathay ker liyay jatay hain

Koi mumlikat Kufer ke saath to chal sakti hai magar na insaafi ke saath nahi

Main ne Allah Ko apney iraadon ke totney se pehchana hay

Jab mere dua qabool hoti hai to mujhe khushi hoti hai ke Allah ne mere dua pori ki. Aur jab mere dua radd hojati hai to mujhey aur bhi zayada khushi hoti hai ke ye mere Allah ki marzi nahi
Tumhari woh khamoshi jis ke baad tum se baat karney ki khawahish paida ho jaiey, tumharey uss kalam sey behtar hay jis ke baad tum ko khamosh ker diya jaiy.

Khoobsorati kaproun se nahe ilm o adab se hoti hay

Her shakhas ki qeemat woh hunar hay jo us ke ander hay

Har Cheez ka Sadqa Hot Hy Aqal ka Sadqa ye hy ky, kisi Jaahil ki baat sun kar bardasht ki jay

Koi aaina insan ki itni sachi tasveer nhn paish kar sakta jitni k oski guftagoo paish karti hai

Tabeyat ki Narmi aur Sakhawat, insan ko Dushmnon k dilon main b Mehboob bana deti hai

Wo gunah jo tumhare dil mein ranj paida kare, us naiki se behtar hai jo tumhare dil mein ghuroor paida kar de.

Koi GUNAH Lazzat k lye mat karna
q k Lazat khatam ho jaegi GUNAH baqi rahjaega ,
Or koi NEKI taklif ki waja se mat chorna q k
taklif khatam ho jaegi NEKI baqi rahjaege!

"Agar ksi ka banna chahte ho tou puri haqeeqat se ban jao
Warna,apni zaat main aisi haqeeqat paida kr lo
K koi haqeqat main tumhara ban jaye

Ibn-e-adam!
Jab gunahon k bawajood Allah ki naimmatain musalsal tujhe milti rahen tou hoshyaar ho jana, k tera hisaab qareeb aur sakht tareen hai

Sab se buri Kamai sod ki kamai,
Sab se buri Mazrat wo, jo mot k waqt ki jaey,
Sab se bura Khana yatim ka maal khana he.

"Allah ki shan ye nahe k DUA ka darvaza kholay aur QUBOLIAT ka band kr day Ya TAUBA ka darvaza kholay aur MAGHFIRAT ka darvaza band kr day".
"Insan ki izzat aur us se mohabbat karo,kyun k har insan ke andar khuda ki koi Na koi sift maujood Hoti hai."

log dukh nahi detay, un say wabasta umeedain dukh dayti hain.

Mujhy jannat Sy Zyada Masjid May Bythna Acha Lgta Hai Kyon K jannat May Mera Naffs Khush Ho Ga jab K Masjid May Mera RAB Khush Ho Ga

Ghulab Ka Phool Bano!
kyun K Yeh Phool Us K Haath Me Bhi Khusboo Chor Daita Hai
Jo Isey Masal Kar Phaink Daita Hai.

1) Insaan Apni Toheen Muaaf Kar Sakta Hai Bhool Nahi Sakta!
2) Kabhi Na Girna Kamaal Nahi Bal'k Gir K Sanbhal Jaana Kamaal Hai.!

"Jiska raabita
khuda ke saath ho wo naakaam nahi hota"

"Naakaam wo hota hai Jiski umeedein duniya se waabasta hon"

''Do tarah se cheezen dekhne me Chotti nazar aati hein"

Ek dooor se or Doosra gharoor se

Apne dushman ko hazaar mouqay do k woh tumhara dost ban jaye.
Lekin...
Apne dost ko aik bhi mouqa na do k woh tumhara dushman ban jaye.

Mein baron ki izzat is liye krta hun k unki nekiyaan mujse zaida hen or choton se pyar is liye krta hun k un k gunah mujse kam hen"

LOGOO ko USI tarha MAAF karo jaisay TUM KHUDA say UMEED rakhtay ho k wo TUMHAY MUAAF karega.

"Jab main astar khuaan par  rang k hane dekhta hoon,to
Laraz jata hoon!
k
Aaj phir kisi ka haq mara gaya hay"

"Khush mizaji hamesha khoobsurti ki kami ko poora kr deti hai,

Laykin
Khoobsurti khush mizaji ki kami ko poora nahi kr sakti "

"Jis shakhs k ache DOST hon,
woh kabhi ghareeb nahi hota"

Agar tum Mout ki Raftar ko Daikh Laity to tum Zaroor Ummeedo'n Or Umango'n Sy Nafrat krty Or hrgiz in Me Maghroor Na


Insan ka apne Dushman s inteqam ka sb sy acha tariqa ye he k wo apni khubiyon me izafa kre 'Hazrat Ali (R.A) Kisi ne Hazrat ALI R.A se poocha:

"Dost aur bhai main kya farq hai?"
Aap ne farmaya:
"Bhai sona hai aur dost heera hai."
Us aadmi ne kaha:
"Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyun tashbeeh di?"
To aap ne farmaya:
"Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.'

Ager kisi ka zaraf azmana ho to usko ziada izat do
Wo ala zaraf hoa to ap ko or izat day ga
or kam zaraf hoa to khud ko AALA ZARAF sumjhey ga
( Hazrat ALI R.A )

Hazrat ALI R.A Ka Frman Hy:-
"Bura Dost Aag Ki Manind Hy"
"Agr Jalta Hoga To Apko Jala Dega"
"Or Agr Bujha Hoga To Ap K Hath Kale Kr Dega"

Logon Ki
Zaroraton Ka
Tum Se Wabasta
Hona Tum Per
ALLAH Ki
Enyat Hai.
(Imam Hussain R.A)

Jub meri DUA kabol ho tu mein khush hota houn
k is main meri marzi hai aur
Jub kabol na ho tu mein aur khus hota houn
k ye ALLAh ki marzi hai
( Hazrat ALI R.A )

IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT
aisi cheezain hain jin k milnay say log
badaltay nahin BAYNAQAB hotay hain( Hazrat ALI R.A )

Allah k nazdek sab say ziada gunah gar chez jhoot bolnay wali zuban he.
(Hazrat Ali R.A)

Main Jannat K Shouq Main ebadat Nahe Kerta,
K Ye Ebadat Nahe Tijarat Hay
Main Dozakh K Khoof Say Ebadat Nahe Kerta,
K ye Ebadat Nahe.Ghulami Hai...
Main Ebadat Sirf Is Liye Kerta hon...
K Mera RuB ebadat K LayeQ Hai....... ( Hazrat ALI R.A )

Aik Shakhs Ne Hazrat ALI R.A Sey Poocha,
Q: Qarib Kya Hai?
A: Qyamat
Q: Or Qareeb Ter?
A: Maut
Q: Ajeeb Kya HAi?
A: Duniya
Q: Aur Ajeeb Tar?
A: Talib-e-Duniya
Q: Wajib Kya Hai?
A; Toba
Q: Or Wajib Tar?
A: Gunah K Forun Bad Toba
Q: Mushkil Kya Hai?
A: Qaber Mein Utrna
Q: Or Mushkil Tar?
A: Amal K Bagair Utrna

Apni zuban ki tezi us per mat azmao jis ne tumhen bolna sekhaya ( Hazrat ALI R.A )

-"Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me Naakaam ho,Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aai howe DOST ko ganwa de"( Hazrat ALI R.A )

"2 cheezein saari zindagi kaam ayengi,
1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo!
2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!
( Hazrat ALI R.A )

Insaan Bhi kitna Ajeeb Hy,
Jab kisi Cheez se Darta Hy to Us se Dour Bhagta Hy.
Jab ALLAH Sy Darta Hy to Us k Or Qreeb Ho Jata Hy..
( Hazrat ALI R.A )

Dunya Daron ki Sohbat ikhtyar Na karo Q K Agar tu Tang-dast huwa to ye tujhe Chorh Denge Or agar to Dolat-mand huwa to Tujh se Hasad karen gay.( Hazrat ALI R.A )

Acha Dost Kitni Dafa Hi Kiyon Na Ruth Jaye Usay Mana Lena Chahiye!
Kiyon K Tasbi K Daney Kitni Dafa Hi Kiyon Na Bikhrein Chun Liye Jate Hain!( Hazrat ALI a.s )

"Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,
yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaahon ki saza foran nahi deta..."
( Hazrat ALI R.A )

4 Batain Elim Ka NIchour Hain,
1.) ALlah Ki Itni Ebadat Karo Jitni Tumhain ALLAH Ki Zaroret Hay.
2.) ALlah Ki Nafermani Itni Karo Jitna Allah K Azaab Per Saber Ker Saktey Ho..
3.) Dunya K Liye Itna Amal KAro Jitna K Tumhain Dunya Mian Rehna Hai,,
4.) Aakhrat K Liye Itna AMal Karo Jitna K Tmhain Wahan Rehna Hain....!!!
( Hazrat ALI R.A )

kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat daikho, ho sakta hay us ki sharminda ankhain tumharay dil main gharur ka beej bo dain.( Hazrat ALI R.A )

Bay shak dunya or akhrat ki misal
asay ha jasay 1 shaks ki 2 b v ian
hon 1 ko razi karta ha to dosri roth
jati ha
HAZRAT ALI(R.A)
Defeat is not when you fall down, it is when you refuse to get up. So keep getting up when you have a fall.

Dosti aik aisa rishta hai jisay admi khud parwan charhata hy.
* Adab lazawal kamal hy aur khairaat sab sy bari
 naiki hy.
* Maut aik baykhabar sathi hy.
* Naikion par gharoor kar ky insane naiki ko zaiya kr deta hy.
* Khawahishian insan ko maar deti hain aur buri adatain insane ki taqatwar dushman hain.
* Aqalmandi fikr main mubtala kr deti hy.
* Fasiq ko bura kehna burai main shamil nahi.
* Apni zuban ko qaboo main rakhnay wala hamesha faiday main rehta hy.
* Ghareeb wo hy jiska koi dost nahi.
* Tajarbay aqal main izafa kartay hain.
* Muaf karnay main jaldi karna behtareen sharafat ka saboot hy.
* Lalach rizq ka dushman hy.
* Ilm maal sy behtar hy, kyon ky ilm hi behtareen muhafiz aur dost hy.
* Sharafat aqal aura dab sy milti hy.
* Jo shakhs kisi ky aaib talash karta hy, wo aaib khud us main paida ho jatay hian.
* Beemari aur muflisi ko apny oper ghalib nahi aanay dena chahiyay.
* Jo apny ap ko muhtaaj banata hy wo hamesha muhtaaj hi rehta hy.
* Jo Allah ko faramosh kr deta hy, Allah usko bhula deta hy.
* Bayqarari main sawab aur ajr mit jata hy.
* Apny sy ziyada ilm walon sy ilm hasil karo.
* Kanjoos duniya main gadagaron ki zindagi basr krty hain.
* Hamsaye ka bura chahnay wala burai ka shikar ko jata hy.
* Agr kisi par ehsan karo to usay dosron sy bhi chupa kr rakh.
* Momin wo nahi jiski mehfil paak ho, Momin wo hy jiski tanhai paak ho.

Din ko rizk ki talash karo or raat ko usay talash karo jo tumhai rizk deta
hay.
HAZRAT ALI (Radi allaho anho)

Yeh zindagi 2 din ki hai
1 din tumharay haq mai aur
1 din tumharay mukhaalif
Jis din tumharay haq mai ho us din ghuroor mat kerna aur jis din tumharay mukhaalif ho us din sabr karna.
HAZRAT ALI (Radi allaho anho)

Lambi umeedoon se perhaiz kia karo, kyon k yeh dosri naimtoon ko
Tumhari nazar mai haqeer bana deti hain aur tum unki shukar guzari nahi kertay.
HAZRAT ALI (Radi allaho anho)

Zarorat k waqt Khuda ko yaad kernay wala dono soorato may Khuda ko bhool jata hay aik zarorat puri honay pay ya phir zarorat puri na honay pay. HAZRAT ALI (R.A)

"Jab tumhary dil main kisi k liye nafrat paida honay lagay to foran us ki achayoun ko yaad karo." (Hazrat Ali R.A)

Jo Shakhs Sajdon mai Rota Hai Usy Taqdeer Pr Rona Nhi Parta (Hazrat Ali )

Jisko 5 nematen mil gaeen tu samjhe k usko duniya ki sari nematen mil gaeen.
1).Shukr krne wali zuban.
2).Zikr karne wala Dil.
3).Mushaqqat uthane wala badan.
4).Watan ki rozi.
5).Naik biwi.

Hazrat Ali RA na farmaya"mein do dino se nahein darta aik jis din moot aani hai aur doosra jis din moot nahein aani islia ka jis din moot aani hai koe taal nahein sakta aur jis din nahein aani koe maar nahein sakta"

Jab tumhary dil main kisi k liye nafrat paida honay lagay to foran us ki achayoun ko yaad karo." >>>(Hazrat Ali R.A)<<<

Jo Shakhs Sajdon mai Rota Hai Usy Taqdeer Pr Rona Nhi prta (Hazrat Ali )

Jisko 5 nematen mil gaeen tu samjhe k usko duniya ki sari nematen mil gaeen. 1).Shukr krne wali zuban. 2).Zikr karne wala Dil. 3).Mushaqqat uthane wala badan. 4).Watan ki rozi. 5).Naik biwi. (HAZRAT ALI R.A)

Hazrat Ali (RA) se poocha gaya
,,,Dunia ka sab se ameer (rich) shakhs kaun hai?Jawab mila,Dunia ka ameer shakhs woh hai jis ke dost mukhlis hain...

Ikhlaq Ki Qeemat Kuch Nahin Deni Parti, Magar Us Se Her Cheez Kharedi Ja Sakti Hai>(Hazrat ALI R.A)<

Insan Ka Fazool Shok Main Waqt Kho dena, Iss Bat Ki Dalil Hai K Khuda Us Se Naraz Hai>>Hazrat Ali (R.A)<<

Sharif ki kisi galti ko dekh kar us sai nafrat na karo aur shareer ki koi achi baat dekh kar dhoka na khao... >>Hazrat Ali R.A<<

Apni zuban ki tezi us "Maaa" pe mat aazmao jis ne tumhein bolna sikhaya. >>(HAZRAT ALI)<<

Kis tara pata lagaya jae k insan par ane wali musibat saza he ya azmaesh To jo musibat Allah se dor kare wo saza or jo qareb kare wo azmaesh he. >>Hazrat ALI (R.A)<<

Subse bara gunah wo hai jo karne walay ki nazar main chota ho (Hazrat Ali)

Jis tarha shabnam k qatre murjhaye hue phool ko tazgi bakhshte hain.. Usi tarah ache alfaz mayus dilon ko roshni bakhshte hain" >>>*HAZRAT ALI (R.A)*<<<

Allah sab ko RIZQ de ga ye Us ka wada hy, Lekin Wo sb ko BAKHSH de ga ye Us ne wada nahi kia, Phir Q? Rizq k liye preshan ho aur Maghfirat se bay-parwah? >>>Hazrat ALI (R.A)<<<

Jab aankhien nafs ki pasandeeda cheezien dekhny lagien to dil anjaam sy andha ho jata hy" "Hazrat ALI" (R.A)

Jab may chahta hon k may KHUDA sy baat karon to may NAMAZ parhta hon Aur Jub may chahta hon k KHUDA muj sy baat kary to may QURAAN parhta hon.>>> (HAZRAT ALI A.S)<<<

"SOORAT" aur "SEERAT" mein sab se bara farq ye hy k SOORAT "DHOKA" deti hy
Jab k SEERAT "PEHCHAN" karati hy...! >>>(HAZRAT ALI R.A)<<<

Zindagi ko ZARURIAT Mein Rakho,,,KHuWAISHAT Ki Taraf Na Le Jao,,,Q k Zaruriyat Faqiron ki b Puuri Hoti Hyn Aur Khwaishein Badshahon Ki bhe Baqi Reh Jati Hyn

>>>Hazrat Ali (A.S)<<<...

Jo shakhs tumhari nigahon sy tumhari zaroorat samjh nahi sakta,,,,Usay kuch keh kar khud ko sharminda na karo < Hazrat Ali R.A >

JAHAN SADAQAT OR KHULOOS NAZAR AYE WAHA DOSTI KA HATH AGAY KARO ,,,,WARNA TMHARI TANHAI TMHARI BEHTAREEN SATHI HAI...>>>HAZRAT ALI (R.A)<<<

Hazrat Ali(R.A)ne farmaya,"Mein puri Zindagi mein sirf eik Raat skoon se soya hoon...

Pocha gya,"Wo kon si?"
Farmaya,"Jis din Aap(S.A.W)ne farmaya,"Aye Ali kal tum n Maal-e-ghinnimat Taqssem kr k ana hai...us Raat mujhe Yakken tha k mein Subha Zinda uthon ga